hey,
sab say pehlay main pakwheels ko mubarakbaad dainaa chata hoon kay woh itni achi website run karrahay hain great job guys us kay baad main apna opinion rakhnaa chataa hoon mainay dekha hai kay log sirf vitz or mini pajero hi import karrahay hain jabkay japan main itni choice hai kay jisska aap log andaaza bhi nahi laga saktay hain wahan par 94,95,96,97,98,99 hondas hatch backs mint condition main sarh rahi hain jab hum 96 mini pajero yaa vitz import karsaktay hain to honda hatch backs kyoun nahi aur price bhi aisi hain kay aap hairaan ho jaye gain 97 98 ki hatch backs ki prices sirf 70,000 say 130,000 kay darmiaan hain jo kay mini aur vitz say kaheen kam hain yeh sochnay kaa time hai hum log sirf lakeer kay faqeer ban kar rah gaye hain mainay bhi mini pajero li hai laikin ab main usko sale karkay honda hatch back ka model import karaongaa kyuyonkayrevolution should starts from home aur doosri baat yeh hai kay honda kay parts available hain resale bhi bahtar hai aur paisoon main bhi adhay aadh ka farq hai to please apna opinon zaroor dain mujhe aap sab kay opinion ka baichaini say intizaar rahay gaa (for more info about honda hatch backs or more try trade carview.com)