@Haceeb
aap ka kia khayal hai bro?
yeh SUZUKI ki car hai is ko mazak smaja hai aap ne . is car ki waja se red light 3 dafa green hui and 3 dafa red lakin mujhay aur meray pehchay aanay wali cars ko is car ne signal cross nahi karnay dia. last pic main woh at last tang a akar car ko side per lay gia :). 2 3 dafa try kia lakin car dhaka ka baad bhi start nahi hui.
main center point walay signal per tha aur5 se 7 mint wahan raha is car ki waja se.