70 Chali to jaye gi agar engine condition theek hai to.
Bhai, agar aap subha ki pehli kiran say pehlay bhi nikal jao to mujhay khadsha hai k aap din dhalnay say pehlay khunjerab nhi pohonch sako *** or khunjerab say wapis anay ki to dur ki baat hai. Vo is terha k ya to aap din dhal janay pay sost pohncho ***, ya aap thakawat ki waja say time manage nhi ker pao ***, or kisi terha aap sham dhalnay say pehlay sost pohonch bhi gaye to khunjerab jatay huye jo pehli check post aye gi vo aap ko agay hi nhi janay dain ga,y. Janab 500km k kareeb safar hai or vo bhi zig zag including 2 passes (Babusar n Khunjerab).
Mostly petrol ka na milna supply na pohonchnay say hota hai. Or agar roads clear hoon to petrol ki shortage honay k chances kam hotay hain. Lakin yeh sb say behtar hota hai k aap jahan bhi petrol pump daikhain, tank full kerva lain. Hunza say lazmi tank full kervayeen Q k Sost ma aksar shortage ho jati hai petrol ki. Hunza ya Ali abad say full tank kerva lain to wapsi tak k liya kafi ho ga CD70 k liya.
Naran say Chillas ya Raikot bridge tak k rat k safar say guraiz karain to acha hai. Sost say khunjerab tak k rat k safar say bhi guraiz krain to acha hai. Visibility ka issue mosam pay depend kerta hai ya aap ki sawari ki headlight pay depend kerta hai.
Yaar aap ka plan agar to accommodation k paisay bachanay ka hai to aik camp lay lo or camping kr lo but din zyada ker lo ta k kuch enjoy bhi ker sako. Lakin agar din bhi nhi hain to phir or baat hai.