Nadeem Sb....
Meri Margalla 96 main yeh problem aaya tha. waja yeh thi keh AC on karnay per gari ki electricity per faraq parta tha, mean agar gari without AC chal rahi hai to wo sirf ek radiator fan ko chala rahi hai, ya night main headlights, laikin agar AC bhi on hai to AC ka fan + blower bhi chalna shuroo ho jaata hai, yeh soorat-a-haal ziada kharab hoti hai jab aap ki headlights bhi on houn or aap kahin stop kar ke kharay houn...
stop karnay se aap k engine ki running kam ho jati hai, or generator proper battery ko charge nahi karta, nateejay main battery 04 se 05 min main apni power chorna shuroo ho jati hai.
ab aatay hain is ke hal ki taraf..
Raat main jab stop karain to headlights ko off rukhain, or chalnay ke 02 min baad tak na chalaayen
gari ko race daitay rahain...
generator ko check karwa lain, electrcian ke mashwaray se acha generator lagwa lain.
agar security lagi huyee hai to wo bhi low battery per 2nd nad 3rd gear main masla karti hai, check karwa lain.
Gari agar stop per khari ho to gear lagana se pehlay race dia kar ek baar engine ko utha liya karain (jaisa keh main kiya karta tha).
vacuum switch ko mat chairiye ga, yeh galay par jaaye ga or carborator new dalwana par jaaye ga, behter ho ga kisi achay cng walay se ring ki jagha carborator main bore karwa lain.....mugar is se pick main or consumption main to faraq par jaaye ga, mugar jerk main nahi..
Regards