gas agar kamm ya zyada ho to cooling drop hotee hai
condenser agar bohot garam horaha hai to cooling drop hogee - tajarbay se pata chalta hai ke condenser agar choke ho to barabar garam nahi hoga, iss ke liye mechanic ke pass infrared thermometer hona chahiye
condenser se nikalnay wali liquid line ka temperature aur pressure dono naapne hotay hain ke pata chalay kahani kya hai. line temperature temperature probe se liya jaata hai.
gas ki miqdaar - kg ya lb mein hotee hai - aur uss ka sticker bhi gaari ke engine room mein kaheen chipka hota hai. Kami ya zyadti dono se performance drop hotee hai.
relay laganay se ye masaail door nahi hotay.