Hotel wapis aa k kuch dair araam kiya. Lunch kernay ko dil nhi ker raha tha q k nashta heavy kiya hua tha. Lehaza kuch snacks lay aye. Derawar fort hamara pehla visit tha is liya mujhay maloom nhi tha k Bahawalpur say Derawar tak road kis terha ki hai. Google map say Ahmedpur east tak to highway hi dikha nazar aa rahi thi. Lakin us k baad Derawar fort tak choti road dikh rahi thi. Mujhay aisa laga jaisay road khasta haal ho ga is liya 100km ka safar zyada time lay ga. Hum nay apas ma mashwara kiya or dopahar 3 bajay nikalnay ki bajaye hum 1 bajay hi nikal paray.
Dhoop ko bhi raham na aya hum pay. Badal bhi jaisay kaheen chup gaye huye thay ja k. Sakht garmi thi or kari dhoop ma hum loog Derawar Fort ki taraf nikal paray. Kya kertay ab itni door say ayen hain to daikhay baghair to nhi wapis ja saktay.
Safar ka aghaaz hua to rastay ma kaheen kaheen bnai gai tasaveer.
Yeh to aisay lag raha tha jaisay baray baray camp lagaye huye hain kisi nay jo rent pay miltay hain...
Aik darakht ki qadar ka andaza bhi tab hota hai jb kareeb koi or darakht na ho or sakht dhoop sar pay ho.
Hum Ahmedpur east say Derawar ki road pay pohonch chukay thay. Or rastay ma takreeban koi abaadi nazar nhi aa rahi thi jahan is khandaan nay apna khaima laga rakha tha. Khandaan ma chotay or baray bachay bhi thay. Na koi AC, na koi pankha, na hi thanda pani. Dil soochta hai k Allah nay itnay sakht halaat ma q rakha hua hai is terha k khandaanon ko. Lakin phir imaan ka taqaza yeh hi hai k yeh sb Allah ki hi taqseem hai jis pay insaan razi honay k siwa kuch nhi ker sakta. Allah ka shukar hai k us nay hamain bohot si naimatoon say nawaza hua hai.
Lain janab, yeh hai Derawar fort ko jati hui road. Road ka wo hissa jo Ahmedpur east say agay shuru hota hai Derawar fort tak jata hai. Yeh sari road is terha ki zabardast hai. Or road behtar honay ki waja say hum loog jaldi pohonch rahay thay. Phir hum nay rastay ma kuch jagah pay photography k liya ruknay ka program bnaya ta k suraj kuch neechay ho or garmi ki shiddat kam ho sakay.