Agli subha Kel or Arang Kel ka program tha. Socha yeh tha k Taobat tak bhi jayen *** agar baraf ka imkan hua to. Lakin it was a shiny day. Koi imkaan nhi thay baraf bari k. Isi liya yeh sooch k chal paray k jitna ghoom sakay ghoom lain *** or wapis night stay sharda hi aa k krain ***. Nikaltay huye ma nay resthouse valay ko chaabi pakra di or kaha k hamara kaproon vala bag yaheen hai. Agar to hum timely farigh ho gaye to wapis aa k aap say bag lay k chalay jayeen *** or agar late ho gaye to wapis aa k aap k hotel ma hi stay krain ***. Chalnay say pehlay ma nay wife say pucha bhi k "tumhari koi qeemti cheez ya koi paisay to nhi paray huye bag ma" to us nay kaha "nhi". Baki qeemti samaan sb hamaray pass hi tha like camera, mobiles, chargers etc.
Lakin jb hum shaam ko wapis aye to wife nay bag ma say apna abaya nikala or mujhay kehna shuru ker diya k "is ma say 1000 rupees nikal liya hain kisi nay, abaya ki pocket close thi jb ma nay rakha tha, ab khuli hui hai." Mujhay us waqt wife pay ghussa aya k "jb ma nay tum say pucha tha k koi qeemti cheez ha to btao lay ata hun bag ma say, tb tum nay q nhi btaya." to us nay kaha k "vo ma nay bhaanjay k liya gift laina tha, is liya nhi btaya k kaheen aap dusray paisoon k sath usay bhi na kharch ker dain." tb mujhay thora or ghussa aya k "yaar tum nay gift laina tha, yeh baat to theek hai lakin kam say kam paisay bag say nikaal k apnay pass hi rakh laiti". Ab wife nay kehna shuru ker diya k yeh room valay aadmi nay nikalay hoon ***. ma nay kaha k "zyada ghalati hamari hai is liya us say puchna or us pay ilzaam lagana theek nhi. yeh bhi to ho sakta hai k tum say hi kaheen vo paisay ghir gaye hoon or ab tum ko yaad na aa raha ho." Behar-Haal kaafi dair wife k dimagh say vo 1000 rupees na niklay or ma nay kaafi tasalli di k jo ho gaya so ho gaya.
Is liya mairi baki travelers say bhi yeh hi guzarish hai k kabhi bhi apna qeemti saman apnay bags ma choor k bahir ghumnay na jayen. Sb loog aik jaisay bhi nhi hotay. Or bina saboot k kisi pay ilzaam lagana bhi bohot sakht gunah hai. Is liya is cheez say bhi bachna chahiya.

Ghooray baich k sootay huye.

Sharda k huts ki picture jo k wife nay room ma say hi bnai.

Resthouse ki balcony say bahir ka aik manzar.

Jb ma nashta lainay gya tb Sharda bridge ki yeh picture bnai.

Sharda ka boys school. Bachay assembly ma Qaumi Naghmay par rahay thay.





Peechay jo meenaar or speaker vali khubsurat imarat hai, vo Masjid hai.
