Yahan puhunch kar mujhay sakht mayoosi ka samna karna para. Yeh jaga jo Aulia ALLAH ki barakat say pur noor honi chahiye thi lekin yahan jhalat kay andheray aur commercialization ki chaka chond roshniyan thi. Yahan par honay walay dhamaky (blast) kay baad security intizamat sakht kiyen gaye hain jis ki waja say aas pass ka qareebi aalaqa Guest Houses mai tabdeel ho gaya hai jo zaireen ko loot rahy hain. Mujhay bhi majboor kiya gaya kay main jab takk kisi Guest House main booking nahi karwa leta Mazar par nahi ja sakta. Main nay aik ausat darjay kay hotel mai kamra lia. Saman wugaira rakhnay kay baad Mazar ka rukh kia jahan pehlay say ziada uljhan aur ghutan mehsoos hoi. Darwazay mai dakhil hotay hi aik Gharyal para hai aur wahan khary majawar aap ko kehtay hain kay yeh Ghanta bajaye bugair aagay matt jayein. Yeh daikh kar mujhay dukh bhi hua aur afsoos bhi kay yeh Hinduana Rasm hum nay kaha say seekh li. Yeh to Hindu ka culture tha kay Mandiron mai ja kar Ghantiyan bajaye (I apologise to any of the Hindu Community if it hurt their sentiments. I respect their religious beliefs and have a strong believe that they are free to perform their rituals in whatever they feel like). Wahan say jan chura kar aagay puhuncha to aik aur majawar aagay aa gaya aur kaha kay Mazar par hazri say pehlay Qalandar kay Wazeer-e-Khazana kay mazar par hazri doon. Us nay kaha kay qabar par matha tekon ( touch my foreheadon grave) lekin mai inkar kar kay aagay barh gia. Uss say jan chura kar aagay barha to darwazay mai khara nigran sab ko Choukhat par sajda reez ho kay aagay janay ka hukam day raha tha. Mera bass nahi chal raha tha kay main in luteron say kaisay jan churaon. Khair Mazar kay ehatay mai dakhil hua aur Fateha Khawani ki. Wahan aik Hazrat khary thay jo koi 500,1000 nazrana day raha tha us kay Qalandar kay Jharoo say jhar rahy thay. Waheen aik Pani ka Doul (Water Bowl) tha jo Qalandar ka Doul tha aur log us main paani dal kay pee rahy thay. Gharz jhaiyliat apnay arooj pay thay. Main nay ghutan ki waja say thora hi waqt wahan guzara aur wapis aa gaya. Main is shehr ko jald az jald chorr jana chahta tha lekin majboori yeh thi kay hotel mai kamra lay chuka tha aur aadaigi kar chuka tha. Lehaza kamaray main gaya aur so gaya.