Bhai aap check karwao k thermostat valve laga hua ha... Agar wo laga hua ha to uss ki working check karwao pehlay. Usually plain water use karnay se thermostat valve kharab ho jatay hain aur phir bhi aisa masla bnta ha.
Fan abhi bhi auto ha ya direct kia hua ha?
Agar auto ha to uss ka on off honay ka temperature sahi ha?
Radiator cap konsa ha 0.9 bar wala ya 1.1 bar wala?
Cultus carby aur efi dono me 0.9 bar wala cap use hota ha.
Cultus me company se copper ka Radiator ata ha loads company ka aapki gari me lagta ha ya to china wala radiator laga hua ha warna phir kabli/used lagwaya hua ha pehlay owner ne. Uss ka bhi masla ho sakta ha..
Aap abhi sirf 2 kaam karwao pehlay aik to radiator ki service 300/-RS se zyada nahi lagein gy iss pe.
Aur dusra thermostat valve check karo k wo apnay sahi temperature pe khul raha ha ya nahi agar nahi khulta to phir ussay nikal k pheink naa dena balkay uss ki jaga new le k lagana wo bohat zaruri hota ha engine k liye..