factory mein aksariyat ashiq mizaj logo ki hay jin ko apne mobile phones se fursat milay to wo kaam karen, ab hota youn hay ke shift subah 8 baje shuru hoti hay, har group ko kaam diya jata hai ke aapne shaam 5 baje tak 1000 bike OK karni hai ( final inspection ki baat bata raha hoon apko jis ke end pe TAIL LIGHT pe sticker lagay hotay hain GREEN color ke different alphabetic words ke ye rank wise hotay hain yaani A is the senior most guy then B, C, D and juniors till Z, after Z again A starts which is Encicrled, A circle B cicrle and this has reached till L circle, larkay sara din gappain martey rehtay hain jab 2 bajtay hain kaam sar pe charh jata hai uswaqt ye bay dili say check kiye bina sirf STRICKERS laga ke 1000 bike OK kar ke apni duty khatam kar ke ghar bhaag jate hain, Dream say pehley main ne DLX liya, us ke NEUTRAL indicator mein BULB he nahi tha, aur HIGH BEAM wala indicator BULB jala hua tha, mazay ki baat ye hai ke us ki TAIL LIGHT pe stricker bhi nahi laga tha yani ye FAULTY bike the kahin dispatch center me kharri thi, lekin jaisay he dealer ka dlx ka order aaya in khabeeson ne usay set kiye bina he faulty he load kardiya
DLX ka model abhi late hai, filhal sales bhi dead ja rahi hain dlx ki isliye abhi koi chance nahi hai, aur main feedback zarur share kar du ga, company to pehle tyar bethi hai price barhane ko, aisa kartay hain BULB aapko baad mein laga dein gey next model mein, price filhaal abhi barrha daitay hain