Nahi arshad bhai ab CD100 nahi aa rahi, lekin kuch showrooms pe available hai abhi bhi purana stock, yaani jo bike Pridor ke aane ke baad sale nahi hui wo waise ki waise hi kharri hain showroom pe bilkul zero meter, obviously Pridor ke aane ke baad old CD100 kon ley ga
Atlas doesn't have any plan for 150 Cc yet
Absolutely right, look at the price for CBR 150 they are charging from customers, about 660K, for the time being there is no plan for 150Cc
CG Dream aik beautiful bike hai yakeenan shokeen hazrat aik bar zarur buy karein gey jab tak CG Euro nahi aata tab tak isay zarur enjoy karein gey, looks bohat zaberdast hain bike ki, aaj production ho gayi hai bikes ki. Or Pics to isi thread mein hi post karoon ga kyun ke yahan hi sari discussion hoti hai sab ki, rahi baat naraz honey ki to main pics launching say chand ghantay pehlay hi post karoon ga :D:Dtheek hai na ???
sahi kaha, aap naraz na hon launching ceremony mein aa jayen, sab say pehlay test drive aapko day dein gey, phir to narazgi khatam ??
Ye to sab hi ko pata hai ke Dream version ka jo haal CD ke sath hua hai wahi is ke sath hona hai, CD Dream ki sales achi thi jaisay hi inho ne CD Classic launch ki Dream fail ho gayi, ab yahi plan CG ke barey mein hai in ka, aur aapko ye bhi bata dooun ke CG Euro bhi ready hai is ke peechay peechay wo bhi aaraha hai just Graphics change ke saath, to jab tak CG Classic nahi aata tab tak CG Dream ki sales phir Classic ke aane ke baad Dream will be failed just like CD Dream