Brother aap k defensive attitude meri samjh main aata hay because you are an employee of AHL 
Zara mujeh apni raye se aagah kijiye. Aisa kiyon hay k AHL sirf "Profit" pe he nazar rakhay huay hay but inn kuch salon main ... inho ne apni bikes main ZERO% improvement ki hay. Sirf plastic add kar dene se bike achi nahi ho jati. Features ki bhi baat hoti hay.
Aap ki Ravi Piaggio, agar Locally assembled bhi ho na ... tab bhi aap k CG125 and Deluxe pe DO DO HAATH bhaari hay. Iss ki market sirf aur sirf 1 waja se nahi ban rahi ... aur wo hay "Jahil Customers". Main ne inn kuch months main BOHAT SE logo ko dekha hay jo Honda ko chor kar either Suzuki buy kar rahay hain (GD110 or GS150) ya phir wo Piaggio buy kar rahay hain.
Awein AHL ko hyped up kiya hua hay. BEKAAR products launch kar k sochtay hain bohat bara teer mara hay.