jab mein gira tah to mein uth ke ek bare se pathar (rock) ke uppar bait gaya to ek makami apne bakro ko lar rah tah os ne muje dekha ke mein akela kyon baita howa ho woh mere pass aya muje Salaam kya or pucha bhai jan kheriyat to hai na sab mein ne kah g janab sab theak hai bas mein phisal gaya tah to yeh pe bait gaya to onho ne kah bhai jan khayal karo shukar hai apko kuch howa nahi, phir woh muje barabar mein bait gaye or pucha kah se hain app mein ne apna taruf karwaya or kah Karachi se kuch dosto ke sath Swat ghumne aya ho onhe ne kah Masha'Allah ache baat hai Allah tala ne hamare Pakistan ko bohat khobsurat banaya hai, phir mein ne bhe onse tohr gupshup laga li jab tak Abdul,Tabrakh,Haris or Shahmeer nahi aye teh mein ne kah ap log kaise rehte ho kaise guzara hota hai aplogo ka onho ne kah kash kari karlete hain farming kabhe kise group ke sath trip pe chale jate hain kabhe mazduri kar lete hain bs ise tarah hamari zindag guzar rahe hai or Allah tala chala rah hai, onse mein ne pucha sardiyon mein kya hota hai yeh pe onho ne kah sardiyon mein bohat se log Punjab side chale jate hain jinho ne kuch savings ki howe hote hai to woh wah pe makan karaye(rent) pe lekar chota kaam karelete hain mazduri wagera or jin ke pass itne paise nahi hote hain woh yeh reh kar guzara karte hain mein ne kah itne thand kaise bardaash kar lete hain onho ne kah jaise ap logo ko Allah tala chal rah hai waise he hamein bhe chala rah hai or aj tak chalte howe arahe hain , onho ne kah ke mein kafi angrezo ke sath bhe trekking ki hai aksar angraiz log ate hain or lambi lambi trekking karte hain app Mahodand se aye ho na wohe se mein or kuch angraiz sathi Chitral gaye teh pharo ko paar kar ke on mein kuch mard or aurte bhe teh jinki jurat or himmat dekh kar mein bara dang sa reh gaya tah woh aurte mardo se bhe zada fit teh zara sa bhe na koi darr na koi kauf phir kuch or btein chali or woh jane lage to mein ne kah kabhe aye app Karachi hum khatir dari karenge woh muskarte howe mein aya tah ek dafa Tableghi jamat ke sath os time Karachi ke halat kuch theak nahi teh ab kaise hain tv pe to har waqt kuch ulta pulta dekhte rehte hain mein ne kah tv wale ajeeb log hain bs hamesha har cheez ko bara chara kar dekhte hain Allah pak ke karam se ab halat bohat bhetar hain or aman hai phir onhe ne muje Allah Hafiz kara or jane lage to itne mein uppar se mere dost bhe agaye bohat he sade kisam ke insan hain jin ke dilo mein koi hawas ya khuwaish nahi bs sadi zindagi guzar rahe hain ..