Bike Mashallah boht zabardast chal rahi hy. The more i am riding it more i m falling in love with it. Simply amazing. Es quality standard pe b i would say paisy wasool ho gae. Mainy tou car use kerna e chor di hy takreeban, bagair bike k tou bahir nikal e nahi raha even with friends, wo car pe main akela bike pe un k sath ghoom raha hoon 
Blue-Bison ka pick thora kam feel ho raha hy pehlay ki nisbat. Ya phir shaid mera wehm hy, as i m getting used to it. Shuru ma tou hatho sy nikal rahi thi even under 5k rpm. Ab normal pick hy hala k mai aram sy e chalata hoon, break-in period ho ya normal riding.
Lekin temptation boht ho rahi hay bhagany ki. Dil kr raha hy koi tour ho jae blue-bison pe, lekin masrofiat ijazat nahi dy rahi.
Blue-Bison ki braking wesi e hy jesy pehlay din sy thi, i mean achi
han waqai sahi hy. Obviously disk brake jesi tou nahi pr zarorat k mutabik hy. Log aksar sirif rear brake use kerty hain jo k kafi nahi hoti, aur shikayat kerty hain k bike slip ho rahi hy aur side nikal rahi hy. Us ki wajha ye hy k brake lagaty waqt steering agar thoda sa b turn hua wa hoga tou bike side nikalay gi. Aur agr front brake aur rear brake ek sath use karain tou boht acha response hoga. Braking dimensions / braking force ko behtar tareqy sy samajny k liye google kijeye.
Suspension tou boht e ala hy, uneven road pe be smooth hoti hy jesy glide kr rahi ho. Lekin front suspension fork sy awaz ana shuru hui hy jesy uper waly nuts loose ho, ye awaz pehlay nahi aa rahi thi, 150km k baad shuru hui hy. Shaid first tuning pe nuts bolts tight hony pe khatam ho jae.
Chrome quality tou bilkul lul hy
handle bar k alwa hr chromed nut pe rust ana shuru ho gae hy.
bas ye dekh k acha nahi lag raha. Over all boht zabardast chal rahi hy.