bhaiyun
aik bat to clear kardun at the first step
k dunya mein luxury aik alag cheez hai aur sports alag
sports mein luxury milti hai lekin aesi nai milti jise pure luxury kaha jaye
sports cars a suspention bht zada acha hota hai lekin aports k liye acha hota hai luxury ki tarha comfortable nai hota
ab bat karte hen handle ki to janab main ne handle ghar pe nai bnaya yar 
front suspention pora ka pora with handle honda ka original hai aur honda CBZ150R ka hai ya is liye rider ki position ka masla to hal hogaya is liye k fuel tank bhi CBZ150R ka hai
rahi bat stability ki to bhaijan bike lambi hogai hai due to rear forkarm
bike ka wheel base increase kardiya hai
wheel base is directly proportional to roadgrip
frontwheel original hai tyre different hai
rearwheeel 17" hi hai lekin width zada hai jaise deluxe 125 mein aai hai
tyre aap keh skte hen k heavy hai
lekin not too much
mere bhai
kahin na kahin to mujhe bhi compromise karna hi tha
mera pas orange county ki tarah ka workshop to tha nai 
2nd yahan paise dekar bhi kam karao aur apne matlab ka kam mango
to log mun bnate hen kehte hen pagal hai sala dmagh ki bja raha hai
to in halaat mein main ne jo kch kiya main us se bht mutmain hn
race laga kar maine world champion to banna nai hai
han albatta road par jab logon ki gardanen mere sath sath ghoomti hen to
meri mehnet wsool hojati hai
phr qasam se yaqen karo k is suspention ko use karne k bad normal cg125 pe baitho
to aisa lagta hai jaise pathar pe baith gaya
come and check this
main ye is liye nai keh raha k meri bike hai
bhai feb se dec2010 bht time diya hai maine bht aram aram se soch smajh kar banata gaya hn