han yar aesa hi hai waqai agr awam aage nikal gai to ye peeche reh jainge
kehte hain 90's mein jab hub power plant laga to china ne mana kiya k aapki economy is qabil nai k diesel powerplant chala ske aap wind power pe consider kijiye lekin
diesel powerplant hi lagaya gaya bcoz aik aik litre par commission milta tha milta hai
main national geographic dekh raha tha
America na aircraft carrier bnaya jis par 62 jahaz land karte the use har 72 hours k baad 20 lakh litre fuel chahiye hota tha crew 5000 tha america khasa preshan tha
phr unhn ne aur bara aircraft carrier bnaya jispar 90 95 jahaz land karte hen jiska crew 6000 hai and can u imagine ise 20 sal tak fuel ki zroorat nai paregi ( FOR 20 YEARS ) is mein 4 chote atomic reactor lage hue hein jinse power generate kar ke sare kam liye jate hen
ab mazey ki bat ye hai k pakistan ka pehla atomic reactor 1970 mein working mein aachuka tha
aur hum sab aaj tk electricity aur gas load shedding ko ro rahe hen
we have no choice but to do at our own