janab yeh sab bachon wali batein hein kante ka aur real speed ka koi taluq nahi gari ke engine mein jaan honi chahyie 2006 ki xli 180km par chali jati hai jo 80 horse poer ki aur 1300cc hai tu aap khud andaza kar lein ke 1800cc aur 132 horse power ki altis ki asal speed kia hogi naye 1600 altis aur 1300cc xli mein 240km ka speed meter hai tu kia yeh 240 ki spped par jati hein or 2400cc accord jis mein high ictane dalta hai us ka 180km ka speed meter hai tu kia woh xli se haar jaye gi
2003 ki idsl city ka speed meter bhi 220 ka hai aur 5 bande bitha kar cng par 140 karna bhi mushkil hota hai 2004 ki corolla aur naye corolla ka shape 2005 ki civic se acha hai aur is ko speed pakrne ke liye buhat kam power chahiye hoti hai yeh lekin is ka disadvantge yeh hai ke yeh high speed par jhomne lagti hai yeh mujhe mere japani dost ne bataya hai jo yahan car export karta hai.
mujhe yaad hai ke 1982 mein jab mein chota tha tu mere mamoon ne naye mercedes benz 190e le thi whote color mein aur woh 190km par jati thi jab ke us ka engine carburetor tha lekin us ka shape aur designing aisi thi ke woh buhat speed par bhi kam engine power use kar ke chalti thi aur cabin mein noise bhi nahi hoti thi