Aslam u Alaekum Dosto
June 2017 m mene cuore Manual 2012 li
Ek saal bilkul theek chali kabhi bhi mobil oil kam ni kiya
Phir ek dafa mobil oil pura gayeb
Jis ka reason ustad ne kaha k 2 number mobil oil hai but mujhe lagta hai ustad k chotoos ne chamber nut sahi ni bhira
Well phir mobil oil continuously kam kerne lagi gaari but No Smoke
Phir ek ustad ne rings change karwane ka kaha
Did that previous summer
Sara saman me khud le aaya bus gasket us ne kaha mere pas hai woh daali
Head phase nahi karwaya tab mujhe pata yi ni tha head phase kia hota hai zaruri hai bhi k nahen
Us k ek hafte bayd ek din gaari ziada garam hui machanic k pas gaya to us ne raiator cap kholi us m paani kam tha
RING KARWANE SE PEHLE KABHI BHI RADIATOR M PAANI KAM NI HUA THA
well phir continuously radiator m paani kam hota m dalta raha aur gaari mamool se ziada garam hone lagi
Mene radiator cap change ki Not worked
Mene Radiator service karwaya not worked
Phir mene radiator tak change kiya allwin double pipe pehle bhi wohi laga haya tha
Kyun k purane leak kar raha tha
Phir ek hafte tak gaari ok rahi phir wohi masyla radiator m paani kam
Phir mene red nasa coolant daala thori chala k engine room check kiya to kaafi coolant system k pipes leak kar rahe the
Main machanic k pas gaya woh leak theek se band karwaya to ek din sahi chali aur phir se sam problem dekha to radiator neche se leak mehsus hua
Main buhut pareshan ho gaya k akhir kyun ho raha hai esa machanic k paas gaya to us ne kaha radiator leak hai but aap ki gasket m bhi problem hai kyun k woh pressure bana rahi hai
Mene kaha gasket change karen
Engine khola to waqyi gasket m problem thi us ne mujhe dikhaya k ek side gasket theek bethi hui thi white thi dusri side blackish
Aur ek valve p kuch marks the jo machanic ne bataya paani k hain jo yahan p sukhta tha
Valve bhi chang karwaye
Gasket bhi
Engine phase bhi karwaya
Aur radiator waale ne radiator theek kiya woh uper se leak tha
Aur mujhe radiator dikhaya jis ki jaali/pipe line phooli hui thi us ne bhi mujhe bataya k aap ki gaari pressure bana rahi hai
Aur mene bhi kaafi dafa note kiya k jab bhi cap radiator cap kholta tha pressure release hota tha kaafi aur rediator se dakaaar (BURP)i awaz bhi aati thi
Mene gasket k saath metal t valves aur waterbody/Waterpump wala metal pipe bhi change karwaya
Drive m farak saaf zahir tha but
Now Pray k abbbbb sahi rahi longlasting
@Xulfiqar
Sir Need of Your Prayers
You have helped me alot