@shah73
5 month pehly CNG men kuch problems face kar raha tha:
1-jab kabhi long drive par jaon to next morning start
nahi hoti thee to mujhay petrol par start karni parti
thee.
2-jab gas cylinder full karwaon to Kit ka waal jahan say
gas fill ki jati hai leak karta tha.
3-gas full ho to gari missing karti thee, agar excelator
ziada press karon aur speed don to gari ki pick aur dead
ho jati thee isi liyey mujhay aahista aashista excelator
press karna parta tha, specially agar signal par gari
ruki hai aur jab signal khulta tha to gari chalti hi
nahi thee , phir aksar mujhay petrol par convert kar kay
chalani parti thee,
4-is waja say men kabhi cylinder full nahi karwata tha
just 200-300 ki gas fill karwata tha.
pehlay Admore CNG walon ko check karwanay gaya unhon nay
mashwara dia kay CNG kit change karwao , is kay parts
nahi miltay, us kay baad Al-Ghani CNG kay gaya to pehlay
aik mechanic nay dekh kar yahi kaha kay kit change karwa
lo , phir sath hi aik aur mechanic aaya us nay kaha kay
ho jay gi set aap subha lay aaen, us nay next day full
tunning ki, Kit ka aik aik part khol kar saaf kia aur
cylinder ki bhi cleaning ki, leakage ka masla bhi solve
kar dia , aur baqi problems bhi solve kar diye, us kay
baad men nay mileage check ki Rs.200 ki gas fill karwai
yani 4 KG, aur long route par chali without AC to 104 KM
howa yani 26 KM per KG. pick bhi zabardast......