Yes you are right, Matlab FAW walon nay apni vehicles ki prices aisay bharhai hai jaisay log Dealerships kay baahir kharay lines bana kay FAW Vehicles kay liye Murray jaa rahay hain... 
Specially jab Suzuki Wagon R 1000cc aur Alto660cc is say Sasti Options available hai to kyun log buy karein gay FAW V2 Chinese ko. Magar FAW walay Chinese product ko Brand bananay ki koshish ker rahay hain shayad.....
Lekin yeh hai kay FAW V2 ko wo log zaroor consider karein gay jin ko highway ya motorway drive kay liye 1300cc powerful, safey features, aur reasonably spacious gari khareedni ho, Suzuki Swift, Honda City aur Suzuki Cultus say to abhi bhi sasti hai yeh itni badi price hike kay bawajood.
Chalo City ya Corrolla say nahi compare kerna to na karo isko, magar Suzuki Swift aur Cultus manual say to iss ka muqabala banta hai.
2016 mein FAW V2 1050 ki thi to Suzuki Swift Manual 1327000 ki thi, .
Aur abhi 2019 mein FAW V2 agar 1389000 ki hai to Suzuki Swift manual bhi to 1585000 ki hai matlab 195000 ki difference abhi bhi hai.
Jabkey Cultus VXR mein aur Swift mein AirBags bhi Nahi hain.
Resale wise Cultus, Swift aur FAW V2 sab aik hi Auqaat rakhti hain.
Wagon R aur New Alto Highway drive kay liye to hain nahi, aur Abhi Jab Honda City aur Toyota XLI 20 Lac tak pohanch chukee hain to long drive kay liye logon kay paas aur kya option bachta hai 1300cc category mein, Suzuki Swift aur FAW V2 ?