Bhaee log,
kul 1969 main iftari ka itifaq hooa, zalimon nay gharq ker dia. Kul subah 2 baar barish hoee, isky ilawa weather forecast bhe thee mazeed barish kee mager being typical Pakistani approach, unhon nay hifzemateqadam ky tore ker koee munsaib intizamat nahi kiye they ... natija, jub sham ko dobara barish shuru hoee to jo kuch open air that, woh sub titerbitter balkeh sharaboor aur unhon ny ek low quality ka tent-numa lagaya tha, sari khalqat usky talay jamaa thee aur us main bhe jagah kagah ooper jahan pani khra hota jaraha tha yoon under ki taraf dharon kee shakal main araha tha jesa ke ..... jis jhooli main so ched hooay, us jhooli ka phailana kiya.
in sub ky baad jub iftari open hoee to sub toot peray kionkeh sub kuch disturb ho chuka that, ilawaazaeen, unhon nay sirf 1/2 point rekhay thay serving kyliay jo itnay logon kyliye nakafi they, so jo cheez khatam hojaye, uskyliye taqayamt intizar fermain. In sub cheezon ky saath to chalo sabershuker ker kay guzara ker he lia lekin jis baat ny sub say ziada mayoos kiya woh yeh thee keh shuru main jo fish and chicken tikaa and boti etc thee, woh sahi bani thee and taste acha tha lekin jub rush berha to cheezain ghaib honay ya der say anay ky baad ky ilawa unki quality main intha derjay ka tagheerotabadul roonuma ho chuka tha ... machli sahi dhunki hoee roee lag rahi thee, chicken bhe aiween saa ho gaya tha. Albata Pulao and Mutton Curry end tuk achy thay, shaid kisi nay unhain zyda tawajah nahi dee; atleast main nay aaj tuk Islamabad main itnay achay chawal nahi khaye, chalo kuch to acha bhe hoaa.
Desserts menu bilkul farigh, juices menue main sirf 1/2 types ky drink thay woh bhe koee Tang numa drink tha not fresh or high quality juice. Cold drinks, I think were included, Menue overall acha thaa lekin baat yeh hay keh PKR 1,400/- main maza nahi aaya. Iske muqably main Avalon @ 1,250/- is too (kia three, four) good.
Miltay hain break kay baad.