Ye jahaz bohot urty hain gilgit baltistan ki taraf pata nahi keun
flights to china.. hm bachpan men ise kehte he china ka jahaz they
Or jahaz doob gaya paharon k pechy
Acha to ye bat hy
Maghrib k kuch dyr bad tak hum uper ruky us k bad nechy campsite wapas a gae
Camps main wapas anay k bad humne khany ki tayari start ki khana hum apna sath le ker chaly thy pory safar k liye jis se hamen bohot faida hua duicar bhi aty hue humne rasty se rotiyan pakar li thi jahan se duicar ki charhaee shuru hoti hy wahan aik tandoor hy jahan rotiyan banna start ho rahi thi
My cooking stuff best for short trips light weight and compact
Selfie during dinner
Adeel bhai i want to ask you about the pot jis mein apne khana garam kia woh electric hai ya gas wala ha? n 2nd tin packed food nice hamara bhe kuch yeh plan ha k tin packed food lekar jayege jah camps karenge
Ye hmara dummy camp tha is ko just pitch ker k chor dia tha stay humne aik he camp main kia jo humne rent kia tha
Rehan bhai gas stove hy you can check it on Youtube Propane butane gas stove k name se mil jaega or 2nd I highly recommend tin food for these areas keun k tin food saf suthra hota hy or tasty bhi or pese bhi bachty hain bohot
Rat thand kafi barh gae thi camp se bahar nikalny ki himmat to nahi ho rahi thi but akhir kar photography k keery ny bahar nikalny per majboor ker he dia Karachi se kuch larky us he rat wahan pohchy thy jo k fairy meadows ker k a rahy thy un k mutabiq fairy meadows per unhon ny -14 k kareeb temp bear kia or raat bhar so na saky mere khayal se to kafi lambi chor di thi unhon ny keun k -14 bohot extreme temp hota hy maybe -5 to -6 raha ho bandy ki tabiat saaf karny k liye itna temp bhi kafi hota hy
After many attempts got few fine night shoots at 11 p.m
Rat takreeban 12 bajy tak hum sab so gae camp main rat bhar halki halki hawa ghusti rahi jis ki waja se bharpoor neend to na a saki but comfortable beds or sleeping bag ki waja se phir bhi kafi sakoon raha Next morning suba 7 bajy ankh khuli jab k bilal or badar so rhy thy
Suba apny camp k sath pic
Bilal bhai bhi uth ker a gae or suba k nazaron se lutf andoz hoty hue