ha ha ha bhi main ne suzuki khareedny k leay pridor sale ki, lakin sub halat dekh k suzuki na kharedany ka faisala kiya kyon k ? engine he sub kuch nhi hota bike main parts zayada velue rakhaty hain, kyon k engine kam se kam 2 saal tak to kaam nhi nikalta jab k parts ka koi pata nhi kab brake ho jain, aur suzuki k parts ma sha ALLAH bohat mehangy hain gd k brake shoe 1500 k hain,sur sub se bari baat yeh hai k agar khuda na khosta koi masala ban jay bike main to special suzuki show room jana perta hai, jab k honda k parts aur machanics her jaga mil jaty hain, choty choty gaon main se parts mil jaty hain, aur pridor k engine main koi masala nhi,ma sha ALLAH main ne jo pehly pridor kharidi thi is main b khatak sounda ka masala nhi tha, ab jo kharedi hai is main b koi masala nhi hai,