yeh buhat achi achi baat hai kay aap kisi ki baat per andha bharosa nahi kertay. INSHA ALLAH aap buhat taraqee karain gaye. Har kisi ka apna soochnay ka tareeqa hota hai. Agar apko silencer say pani nikalnay ki koi aur waja pata hai tow humay bhi batain, kuch humara bhi faida hoga 
Aur aap ki ittela kay liye arz hai 500KM ki running say Bike purani nahi hojati. Sir jee abhi tow aapki bike rawan bhi nahi hoyee hai. Silencer say pani nikalna ek normal amal hai......aapki bike may koi masla nahi hai.
Silencer say 2 reasons ki waja say pani nikalta hai:
1. Condensation
2. Fuel combustion reaction
1. Condensation:
raat ko silencer may jama honay wala pani subah bike start kernay per pani nikalna condensation ka amal hai.
2. Fuel combustion reaction:
Agar aap ko organic chemistry yaad ho tow Petrol ka formula hai C8H18. Pertrol ko jalaanay kay liye aapko oxygen Yani O2 darkaar hai tow is terhaan petrol to jaalanay ka formula banta hai:
2C8H18 + 25O2 ~> 16CO2 + 18H2O
Jaisa kay aap dekh saktay hain jab petrol jaalta hai tow pani banta hai.......yeh pani jab engine aur exhaust garam hota hai tow steam ki form may nikalta hai aur aap notice nahi kertay magar jab exhaust thanda ho tow aapko exhaust say pani liquid form may nikalta dikhta hai.
Jab silencer purana ho jata hai tow usmay carbon deposits jama ho jatay hain aur thanday silencer say pani nahi nikalta kyon kay jo pani banta hai woh carbon jazb (absorb) ker leta hai.
Sir Yeh meri logic hai......agar aapko yeh galat lagti hai tow meri aap say guzaarish hai kay please mujhsay apni knowledge share zaroor karain.
Aap kay jawab ka intezaar rahay ga.