see my previous comments, Main bhi tang aa chuka hoon Honda ki problems jhail jhail k...
Masla yeh hay k sab say pehlay pakistan main jo gari honda launch karta hay woh poori dunya main kisi or naam say hoti hay... doosri baat k ager uska international version match kar bhi lo to model year change ho jata hay,,,,, poori dunya main Honda city ka jo shape ya model hay woh or hay or pakistan main wohi jo 2009 say hay pooray 10 saal ho chukay hain iss model ko aatay howay..
ab iss haalaat main internet par aap kuch check karnay baith jaain to dimagh chakra jaata hay,,,,
doosra masla machenics ka hay.... har technician yaa USTAAD khud ko dunya ka superior tareen shakhs samajhta hay aur kaam wohi karay ga HIT & TRIAL wala.... aik aik kar k saaray parts change kar day ga mager asal masla trace nhi karay ga,,,,
WAJAH
wajah yeh hay k poori duniya main yeh models khatam ho jaatay hain is liyay inki trainings waghairah bhee khatam ho jaati hay,,, so called dealers sirf paisa banatay hain,, iss say koi gharz nahi k kisi ko kitna nuqsan ho...
CONCLUSION
BAICH DAYYYYYYYYYY,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, ( I AM SORRY BUT MUKHLISAANA MASHWARA)