
Scene ki munasbat sy aik nazm yaad a rahi hy ;
Rashid bhai @emmar ki tawajah aur ijazat k sath :
"Ek Chand Tanha Khara Raha
Merey aasmaan se zara pary,
Merey saath saath saffar mei tha
Merii manzillon sey zara pary,
Teri justuju ke hisaar sey
Terey khwaab terey khayal sey,
Mai wo shakhs tha jo khara raha
Teri chahaton sey zara pary,
Kabhi dil ki baat kahi na thi,
Jo kahi to wo bhi dabee dabee,
Merey lafz poorey to they magar
Teri sama'aton sey zara pary,
Tuu chalaa gaya merey ham-safar
Zara daykh murr ke to eik nazar,
Meri kashtiyaa han jali hui,
Terey saahilon sey zara pary".