Day 5
Mardan to Bahrain Swat (Around 170 KmS)
Mardan - Malakand - Batkhela - Mingora - Malam Jabba - Mingora - Madyan - Bahrain
Lets start with a picture this time
First tunnel for my trip. That was a different experince
Left early in the morning because I planned to cover Malam Jabba, Mingora and Bahrain. Bahrain was my pre planned destination for night stay. Kyon ke us ke baad aik alag adventure ne shuru hona tha jise main miss nahe kerna chahta tha.
As said earlier I heard alot about Malakand, that paved mountain was on top my list. Atleast tab tak to top of the list tha jab tak mene age ka safar nahe kiya tha.
Is jagah ki ya kisi bhi jagah ki khubsurti koi bhi camera justify nahe ker sakta.
Manzil pe pohunchne ki cha na hoti to shyd aik hafta men idher hi pictures leta rehta.
Moving forward I reached BATKHELA.
Kehte hain ke ASIA ka sab se bara bazar Batkhela men hai. Jo yeh kehte hain woh sahi kehte hain, maine to yeh sochna shuru ker dya tha ke kahin main bhatak to nahe gaya. Kahin google meri phirki to nahe le raha.
Lekin nahe woh thi aik ghazab ki market rush se bhari hui her chez available road ke dono atraf uper uper tak bhari hui dukanen.
Batkhela se nikle or pohunch gaye MINGORA, ab yeh safar shandar tha kia nazare the, ab ja ke feel ho raha tha ke Bhai ab shuru hua he trip. Sawat river was riding with me along side of the road, mostly on the left side. Aik alag hi race thi meri us darya ke sath. Mingora se darya janab right side pe agaye. Matlab WOW.
Yeh to banti thi.
Kher mingora ko completely avoid kerta hua main charh gaya us raste jo mujhe MALAM JABBA le ke ja raha tha. Lekin raste main pata chala ke bhai shb MALAM JABBA jane ka koi faida nahe. Kyon ke jab baraf parhti hai tab hi us jagah ka charm hota hai wena woh sirf aik resort hai. Lekin hum ne manni hai kabhi kisi ki, track was outstanding jise chorne ko mere zameer ne to ijazat nahe di. Dhoka ho jata us track ke sath
Track dekh rahe ho. Yeh tedhe medhe raste or woh payara khoobsurat jungle.
Thanks to that bluetooth wali selfie stick. Uska remote mera camera man tha samjh lo.
Malam Jabba tak to nahe per adhe se zayda rasta cover zarur kia or meri mulaqat hui Lahore ke jane mane traveller Ali Ahmed Tahir or Mubarak Shah Sahab se. (K2 Kings Lahore)
Kia log the yar. Will always remember them
Hamara agey ka safar or manzil aik hi thi, lekin hamara chalne ka tarika bilkul alag tha. Kher phir bhi mene unke sath chalne ka faisla ker liya, kehte hen na aik se bhale do, do se bhale teen. Lekin yeh sirf kaha ja sakta he ke main ne agey ka safar unke sath kia, kyon ke jitna woh aram se chalte the us se thora sa zayda main tez chalta tha. I know its not good but still road kahan khatam hote hain.
Scene kuch aisa tha
Is park ki bhi alag hi baat thi. Darya ke bilkul sath, gardo ghubaar, kachra or gandagi se door. Saaf suthra mahol saaf suthre log.
Mingora se bharain kab aya atleast mujhe to pata nahe chala kyon ke road was full of curves. SEXY curves. Important baat to bhool gaya BHAHIIIIII ghazab ki sardi thi, tobaaaaa.
raat ko sab se pehle meri isi pe nazar parhi jo ke cheekh cheekh ke keh raha tha ke BHAYA so jao aram kerlo kyon ke kal jo hoga woh pehla nahe hua hoga kabhi,
That's strange. I can feel every thing as that all happens yesterday.
BIG DAY TOMORROW C YA