@Libra
Zindagi ke mele may
Khuvahisho ke rele may
Tum se kyaa kahe jaanaa
Is qadar jhamele may
Vaqt ki ravani hai
Bakht ki girani hai
Sakht bezamini hai
Sakht lamakani hai
Hijr ke samandar may
Takht aur takhte ki
Ek hi kahani hai
Tum ko jo sunani hai
Baat go zara si hai
Baat umr bhar ki hai
Umr bhar ki baate kab
Do gharhi may hoti hain
Dard ke samandar may
Unginat jaziren hain
Beshumaar moti hain
Aankh ke dariche may
Tum ne jo sajaayaa tha
Baat us diye ki hai
Baat us gile ki hai
Jo lahu ki Khilvat may
Chor ban ke ata hai
Lafz ke fasiilon par
TuuT TuuT jata hai
Zindagi se lambi hai
Baat rat_jage ki hai
Raaste may kaise ho
Baat takhaliye ki hai
Takhaliye ki baaton may
Guftagu izafi hai
Pyaar karne vaalon ko
Ik nigaah kafii hai
Ho sake to sun jaao
Ek din akele may
Tum se kya kahen jaana
Is qadar jhamele may (Amjid Islam Amjid)
I Owe You! 
@Racerf1/2
I'm just imagining what will it look like to tackle those curves... phew!