Qisa abi hijaab se aagy nhi bara,
main,aap,woh,janaab sy aagy nhi barha,
muddat hui kitab-e-muhabat shuru kiye,
lakin mein pehlay baab sy agy nhi barha,
lambi musaftain hen magar is swaar ka,
paon abi raqaab sa agay nahi barha,
tool-e-kalam k liye main na kia swaal,
woh mukhtasir jawab sa agay nahi barha,
rukhsar ka pata nahi aankhain tau khoob hain,
deddar abi naqaab sa agay nahi barha,
woh lazat-e-gunnah se mehroom reh gya,
jo khawaish-e-swab sa agay nai barha..