Matti pe tarapta raha QURAN ka qari,
Aur mehv e tamasha khari Umat rahi sari,
Lagta hai k wo majma e Islam nai tha,
Majmy me khara koi Musalman nai tha,
Mujrim hi sahi sahib e Imaan thy aakhir,
kafir b hon to phir b wo insaan thy aakhir,
Arsh e Bareen larza hai koi shor bapa hai,
MOULA ki adaalat me kisi Maan ki sada hai,
Ro ro k falak kehta raha ehl e zameen ko,
Ye zulm gavara nai YASRAB k AMEEN ko,
Kis simt se ata hua Moula ka qehar ho,
Kia ilm k kis hal me is shab ki sehar ho,
Kehte huay thamti nai ashkon ki ravani,
'IQBAL' tere dais k galyon ki kahani,
Kuch bhi nai he aik Qayamat ki karri hai,
Sb hath uthao k ye Touba ki ghari he.