Mere Hamdam Mere Dost
Gar Mujhay is ka Yaqeen Ho Meray Hamdam Mere Dost
Gar Mujhay is ka Yaqeen Ho
K Tere Dil ki Thakan
Teri Ankhon ki Udaasi, Teray Seenay ki Jalan
Meri Dil Joi Meray Pyar se Mit Jaye Ge
Gar Mera Harf e Tasalli wo Dawa ho
Jis Se
Gee Uthay Phir Tera Ujra Hua Baynoor Dimagh
Teri Peshani Say Dhul Jain ye tazleel K Dagh
Teri Bemaar Jawani ko Shifa Ho Jaye
Gar Muje Is ka Yaqeen Ho Mere hamdam Mere Dost
Roz O Shab Sham O Sehar
Main Tujhay Behlata Rahon
Main Tujhay Geet Sunata Rahoon
Halkay Shereen.....
Aabsharon k, Baharon k, Chaman Zaron k Geet
Aamad e Subah K, Mehtaab k, Saiyaron k Geet
Tujh Say Main Husn o Mohabbat Ki Hikayaat Kahon
Kaisay Maghroor Haseenaon k Baraf Se ji$m
Garam Hathon ki Hararat Main Pighal Jatay hain
Kaisay ik Chehray k Thahray Huay Manoos Naqoosh
Dekhtay Dekhtay Yak lakht Badal Jatay hain
Kis Tarah
Aariz e Mahboob ka Shaffaf Bilor
Yak Ba Yak Baada e Ahmer Say Dehak Jata Hai
Kaisay Gulchaeen k Liay Jhukti hai Khud Shak e Ghulab
Kis Tarha Raat Ka Ewaan Mehak Jata hai
Yunhi Gata Rahoon Gata Rahoon teri Khatir
Geet Bunta Rahoon Betha Rahon Teri Khatir
Par Mere Geet Tere Dukh Ka Madawa Nahi
Naghma Jarrah Nahi, Monis O Gham Khuwar Nahi
Geet Nashtar To Nahi Marham e Aazaar Sahi
Tere Azzaar ka Chara Nahi
Nashtar K Siwa
Or Ye Saffaq Maseeha Mere Qabzay Main Nahi
Is Jahan K Kisi Zee Rooh K Qabzay Main Nahi
Han Magar
Tere Siwa Tere Siwa
Tere Siwa...................