chupke chupke raat din aansoo bahana yaad hai
hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai
baahazaaraan iztiraab-o-sad-hazaaraan ishtiyaaq
tujhse wo pehle pehal dil ka lagana yaad hai
tujhse milate hi wo bebaak ho jaana mera
aur tera daaton main wo ungaliyaan dabana yaad hai
kheench lena wo mera parde ka kona dafatan
aur dupatte se tera wo moonh chupana yaad hai
jaan kar sota tujhe wo qasa-e-paabosi mera
aur tera Thukra ke sar wo muskurana yaad hai
tujh ko jab tanha kabhi paana to azraah-e-lehaaz
hal-e-dil baaton hi baaton main jatana yaad hai
jab siwa mere tumhara koi deewana na tha
sach kaho kya tum ko bhi wo kaarkhaana yaad hai
Ghair ki nazaron se bachkar sab ki marzii ke Khilaaf
wo tera chori chupe raaton ko aana yaad hai
aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq
wo tera ro ro ke mujhko bhi rulaana yaad hai
dopehar ki dhoop main mere bulaane ke liye
wo tera kothe pe nunge paaon aana yaad hai
dekhna mujhko jo bargashta to sau sau naaz se
jab mana lena to phir khud rooth jaana yaad hai
chori chori humse tum aakar mile thay jis jagah
muddatein guzrein par ab tak wo thikaana yaad hai
berukhi ke saath sunaana dard-e-dil ki daastaan
aur tera hathon main wo kungan ghumana yaad hai
waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne ke liye
wo tere sukhe labon ka thartharana yaad hai
baawajood-e-ida-e-itaqa 'Hasrat' mujhe
aaj tak ahad-e-hawas ka ye fasana yaad hai
