Phir ek cigarette jala raha hoon
Phir ek teeli bujha raha hoon
Teri nazar me ye mashgla hy
Mian to tera wada bhula raha hoon.
Samjhna mat isko meri aadat
Maito bas dhuwaan urra raha hoon
Ye teri yadoon k silsilay hain
Main teri yaadein jala raha hoon.
Main pii k itna behak chuka hoon
Ke gham k qisse suna raha hoon
Agar tumhain bhe gham hay to paas aao
Main pee raha hoon aur pilla raha hoon?
Hain meri aankhin to aaj nam
Magar mai sabko hansa raha hoon
Kho kar apni zindagi mai
Apne be.inteha pyaar ko bhula raha hoon
Ek cigarette ki shamma ke bahane
Mai apna aap jala raha hoon
Phir ek cigarette ?
Phir ek teeli ?