QURAN KE FARYAD
[highlight]taqon mai sajaya jata hoon ankhon say lagaya jata hoon
taveez banaya jata hoon dho dho kay pilaya jata hoon
juzdan hareeroraysham kay aur phool sitaray chandi kay
phir itar ki barish hotee hai khusboo mai basaya jata hoon
jaisay kissi totay maina ko kuch bol sikhaye jatay hain
iss tarhan parhaya jata hoon iss tarhan sikhaya jata hoon
dil soz say khali rahtay hain ankhain hain kay num hotee he nahin
kahnay ko ik ik jalsay mai parh parh kay sunaya jata hoon
jub qol qasam lainay kay liyea taqrar ki nobet atee hai
phir mairee zaroorat partee hai hathon pay uthaya jata hoon
naikee pay baddi ka ghalba hai sachai say barh kay dhoka hai
ik baar hansaya jata hoon 100 baar rulaya jata hoon
yeh mairee aqeedat kay daway qanoon pay razi ghairon kay
aisay bhi mujhe ruswa kartay hain aisay bhi sataya jata hoon
kiss bazam mai maira zikar nahin kiss urs mai mairee dhoom nahin
phir bhi akila rahta hoon mujh sa bhi koi mazloom nahin[/highlight]