Dil dukha sa rehta hai,
mizaaj gum sum sa rehta hai ;
manay na maanay aaye ajnabi ,
tu hi khayalon mein racha basa rehta hai
aankhon mein tera chehra, sanson mein teri mehek,
door ho k bhi tera hi wajood is dil mein basa rehta hai
teri hi yaad mein ye deewana ,
kabhi idhar kabhi udhar bhtakta rehta hai
maad diat kya, aaram kya aur zindagi kya,
ye phata hua kaleja teri hi aas mein dhaarein marta rehta hai.
teri wo sadaa teri wo adaa teri wo jhalak ,
ye aashiq tera har ghari sirf teri sifatein ginta rehta hai.
Na milay thay itne gham na aankhein theen itni nam,
aye gham denay walay tu hi bata kya pyaar mein aisa hua kerta hai
tu aik haseen bala hai , intizaar mein jis k koi aur bhi khara hai,
teri judai hi ke dar se yeh jigar har waqt siskiyaan leta rehta hai
Aik din tu humein milay ga, ye phool zaroor khilay ga,
isi umeed mein ye dil intizaar ki gharyan ginta rehta hai..........
DIL DUKHA SA REHTA HAI 