jab lage zakhm to qaatil ko duaa dii jaaye
jab lage zakhm to qaatil ko duaa dii jaaye
hai yahii rasm to ye rasm uthaa dii jaaye
tishnagii kuchh to bujhe tishnaalab-e-Gam kii
ik nadii dard ke shaharon me bahaa dii jaaye
dil kaa vo haal huaa ai Gam-e-dauraan ke tale
jaise ik laash chattaanon me dabaa dii jaaye
ham ne insaanon ke dukh dard kaa hal dhuundh liyaa
kyaa buraa hai jo ye afvaa uraa dii jaaye
ham ko guzarii huii sadiyaan to na pahachaanengii
aane vaale kisii lamhe ko sadaa dii jaaye
phuul ban jaatii hai dahake hue sholon kii laven
shart ye hai ke unhe khuub havaa dii jaaye
ham se puuchho Gazal kyaa hai Gazal kaa fan kyaa hai
chand lafzon me koii aah chhupaa dii jaaye