Bhiir mein ik ajanabii kaa saamnaa achchhaa lagaa
bhiir mein ik ajanabii kaa saamnaa achchhaa lagaa
sab se chup kar vo kisii kaa dekhnaa achchhaa lagaa
surmaii aankhon ke niiche phuul se khilne lage
kahte kahte kuchh kisii kaa sochnaa achchhaa lagaa
baat to kuchh bhii nahii thii lekin us kaa ek dam
haath ko honthon pe rakh kar roknaa achchhaa lagaa
chaaii mein chiinii milaanaa us gharii bhaayaa bahut
zer-e lab vo muskuraataa shukriyaa achchhaa lagaa
dil mein kitne ahad baandhe the bhulaane ke use
vo milaa to sab iraade tornaa achchhaa lagaa
beiraadaa lams kii vo sansanii pyaarii lagii
kam tavajjo aankh kaa vo dekhnaa achchhaa lagaa
niim shab kii khaamushii mein bhiigatii sarkoon pe kal
terii yaadon ke jaalo mein ghuumnaa achchhaa lagaa
us uduu-e-jaan ko Amjad main buraa kaise kahuun
jab bhii aayaa saamne vo bevafaa achchhaa lagaa