Chain lenay nahi deta kisi torr mujhay,
Teri Yadon ne jo tufan utha rakha hai,
Janay walay ne kaha ke wo lotay ga zaroor,
Eik isi Aass pe darwaza khula rakha hai,
Teray Janay se jo eik dhool uthi thi Ghum Ki,
Hum ne Is dhool ko ankhon mein basa rakha hai,
Mujh ko kal sham se wo yad buhat aany laga,
Dil ne mudat se jo Eik Shakhs Bhula rakha hai..
Aakhri bar jo aaya tha meray naam Wasi,
Mein ne Us khat ko Kalajay se laga rakha hai~~~!!!!