Zindagi ek kiraye ka ghar hai ek na ek din badalna parega
maut jab ham ko avaz degi ghar se bahar nikalna parega
dher mitti ka har admi hai baad marne ke hona yahi hai
ya zamino me turbat banege ya chitao pe jalna parega
raat ke baad hoga savera dekhna hai agar tum ko din sunehra
paon phulon pe rakhne se pahle tum ko kaanto pe chalna parega
aitabaar un ke vaadon ka mat kar varna ai dil mere zindagi bhar
tujh ko bhi mombati ki tarah qatra qatra pighalna parega