Bhai ye depend karta hai k aap ki gari ki kia condition hai aur aap kis tarah ka kam karana chahte hain. Is waqt 2 tariqe hain AC k, pehla tou ye k aap ismein vitz ka setup laga dein dusra iska apna AC system lagaien.
1-Vitz Setup
Sab se pehle tou agar engine theek hai aapka tou radiator upgrade ho ga. Iska original radiator nikal k bara radiator lage ga with electric fan. Market mein log probox, vitz waghera ka setup lagane k log 9 se 12 hazar charge kar rahe hain.
Cooling coil air blower bhi vitz ka lage ga alteration kar k, airducts aap k dashboard mein mein connect hojaien ge. Ye AC ka setup I think 30 35 tak ka parey ga.
2- Original Setup
Agar aap ka engine aur radiator theek hai, tou ek shield lage gi fan ki, iska original cooling coil air blower setup 8 hazar ka lage ga. AC compressor, condenser, evaporator aur line taqreeban 18 se 20 hazar.