I also have good bike mechanic as well as electronics mechanic.
Bike mechanics kehta hei. Keh aik baat ke oil 1 liter nhn daalna chahiyay. Logoun ko yeh pata nhn. Oil 900+ ml hei per 1000 ml nhn. Is se saim nhn paray gi bike ke engine ke bahir.
Baqi mera tajurba hei keh jab oil itna zyada use ho chuka ho keh bohat patla ho jayay. Tu jab running mei engine garam hota hei tu us se bhi zyada patla hota hei. Aur jab bike kahin 45 minute ke liyay khara kein tu engine thanda aur oil gaarha hona shuru ho jaata hei. New oil new ki trah garha hoga aur. Old oil bhi garha hoga pr new ki trah nhn. Tu old oil jab garam engine mei patla hota hei aur pressure bhi kaafi hota hei engine mei tu sealoun se nikalna shuru ho jaata hei aahista aahista. Chahay bahir ki seals ya ander ki. Jis ki vaja se patla honay se piston mei bhi ja lagta hei aur piston kha jaata hei aahista aahista burn kr ke oil ko. Tu kam nikalta hei.
3ri baat ke seal achi hn. Ajkal honda ki achi nhn aa rhin complaints hen. Tu mera mechanic aur try krta hei jo usay sahi lagein quality ki bunyaad pr.