bhai aap sahi logon ko bewaqoof bana rahe hein mujhe lagta hai ke aap honda ke dealer hein ya aap civic ko f18 samjhte hein jis mein after burner aur thrust vectoring install hai logon ki prosmatec cng mein 80 km se zyada nahi deti aur aap 5th gear mein 16 km aur tank mein 650 se 800 km ki kahaniyan suna rahe hein.
mujhe pata chal gaya hai ke aap honda ke buhat bare fan hein aur koi civic ko kuch keh de tu aap naraz ho jate hein
aap lamborghini aur viper ko rehne dein aisi gariyon ki baat na krein jo hum pakistan mein reh kar khawab mein bhi na purchase kar sakte hoon aur aap ke record ke liye viper aur lp640 ka koi muqabla nahi lamborghini straight line aur track dono mein fast thi.
aap zara oxford ya kisi chote german shehar jaise bremen mein jaa kar fiat 500 ya audi a1 chalyein aap ko technology aur engine ka pata chale ga ye R18 jo rickshaw ka engine hai sohc baghair kisi direct injection ya variable cam phasing ke aur outdated 5 gear ke sath aap is ko bhool jayenge jo honda cost cutting ke liye asian countries mein deta hai 20 lac mein bewaqoof banata hai ya phir kisi kabar market mein ja kar D15b vtec ya h22 dekh lein aap ko andaza ho jaye ga ke honda 20 saal pehle acha engine banata tha ya ab banata hai.
aur kuch nahi tu 9000 pound mein audi a1 ka 1200cc engine ya fiat ka 900cc engine civic ke outdated rickchaw class engine se buhat ache hein aur reality mein 18-20 km city mein dete hein.