Mulk kay hallat yeh hain key deewalia honay kay qareeb hai, na qarz dene kay liye paisay hain, na budget bananay kay liye kuch hai, no import kay liye dollar hain, na foreign reserves hain, issi liye dollar control mein nahi aa raha hai, kyunke sara tax collection aur revenue corruption aur mismanagement ki nazar ho jata hai, doosri taraf private investors aur business mans nay inflation, shortage aur zaheera andozi kernay ki waja say itna paisa bana liye hai kay unko samajh nahi aa rahi kahan kahan invest kerein, crops, commodity, aata, cheeni, cars, fertilizer, land and property her cheez ki availability hai magar customers ki bajaye dealers aur investors kay paas park hua rehta hai aur mehngay damon aam aadmi ko lena perta hai. Govt. ka na koi control hai na koi policy na ko plan, bas kursi aur revenge politics ka khel garam kiya hua hai. Corona ka asar ulta nazar aa raha hai, bajaye Govt ki situation better ho mafias, businesses aur investors ki situatioin better hui hai. Devasting situation in Pakistan.