seriously yaar mujhe barha afsoos ho raha hai yeh sab sun kar
agar mein aapke city ka hota toh aapko zaroor time deta aur issue ko
discuss karta aur saath chalte kisi mechanic ke pass yanha se ab mein kiya suggest
karo agar kisi ache mechanic se tuning karwaane ke baad mein maslaa ho raha hai toh kiya
kiya jasakta hai ya toh ab toh sirf do baatein rah jaati hai ya toh kisi jaahil mechanic aapki
bike ke jets ya carburetor ke saath khuch cherh chaarh karke kharaab kardiya hai ya phir company se h
koi maslaa hai aapki pridor mein 30-35km/lt buhat buhat kam average hai
maine kaye chonda owners ko bhi cheekhein karte suna hai apni city mein
aur woh sab jaahil mechanic ka shikaar hote hai mujhe personally toh abhi bhi
aisa lag raha hai khuch cherh chaarh ki gaye hai aapki bike ke saath
ya toh abhi bhi mujhe aisa lagta hai koi barha masla nahein shaayad sirf sirf settings ka h issue ho
aapne kabhi check kiya hai bike patrol overflow toh nahein karte matlab jo carb ke neeche pipe
laga hota hai aisa toh nahein wanha se patrol drain hota hai