Now it's time to share some Good & Bad experience about Bike Cargo.
To kaafi research kay bad meney decide keya kay main apni Bike Tour kay liye by Train Luggage karunga, as i asked so many times to Railway Concern Department kay aap booking pehlay say karlain end time pay nahi huyi to problem ho jaayegi but they said advance booking mein apko bike yahan chorni paregi jiski koi guarantee nahi hoti kay kub pohnachegi, aap usi din aayen jis din apka ticket hai Rawalpindi ka bss 2' ghantay pehlay aayen aapka kam ho jayeega, so finally main us din 2 nahi 3' ghantay pehlay machli gate say apni lay kr station pohancha aur jub menay kaha sir mujhay bike sath lay kr jaani hai mera aaj ka ticket hai to unka rawayya he badal gaya kay aaj jaa he nahi sakti pehlay say itni saari bikes khari hain wo nahi gayi aapki kaisi bhaij dein & blah blah but main try krta raha kay sir bike kay baghair main jaa he nahi sakta mera poora tour ispay hai aur menay kaafi dafa aap logon say aa kr poocha tha kal tk aap logon nay kaha tha kay chali Jaayegi aram say aur aaj aap keh rahay hain possible nahi main calm raha aur wo aggressive hotay rahay isi doraan kaafi log aaye kay main apka kam krwa dunga 2.din koi kehta 3 din mein but meray pas din ziada nahi thay aur mujhay next day he bike chahiye thi khair meray 1' ghantay insist krnay kay bad achanak say ek awaaz aati hai kay parchi banwaayain apni bike ki jaldi karain tub thora sukoon mila aur menay unhain Thank you & JazaakAllah kaha jis pay wo hansnay lagay
uskay baad 3600 lay kr unhon nay 70 ko 150 likh kr mujhay reciept di uskay bad jisnay bike chadhaani thi usnay 200 liye bari mushkilon say warna 500.600 say halka he nahi a raha tha bhai khair meri majboori thi because meray pas koi option nahi tha aur train lagnay mein sirf 30' mins reh gaye thay but at Rawalpindi station kisi nay koi bat nahi ki ek acha parha likha young officer tha jisnay sirf meri bike aur mujhay 5' mins mein verify keya aur mujhay bike handover krdi kisi ko kuch nahi dena para naa kisi ki minnatain krni paree'n. But wapsi mein i found Bilal Travels in Mansehra Laari Adda jinhon nay mujhsay sirf 4500 charge keyay From Mansehra To Karachi plus Mera Bag Helmet aur Meray Chotay motay Gadgets unhon nay safely Karachi tk Pohnchaaye even side mirrors bhi khud utaar kr safely mujhay diyay which is highly appreciated' menay unhain kaha kay kaash mujhay pehlay pata hota to main aap logon say he Cargo krwaata, instead of Train & Others' Because menay aur bhi Buses walon say pata keya tha 7k say kam mein koi lay jaanay ko tayyar nahi tha Like Waraich* Faisal Movers* Etc Etc... So overall experince ye raha kay agar koi bhai apni bike cargo karna chahta ho kabhi to Bilal Travels zaroor try karain, Highly Recommended !