ASsalam U Alaikum.. Aaj 2 Mounts Change Karwa Liye.. Timing Belt Side Aur Rear Foundation.. Front (Radiator) Mount Ki Fitting Kuch Alag Thi.. So Chhotay Ne Kaha K Bhai 1300 CC Corolla Wala Mount Diya Hai Dealer Ne.. Mechanic K Sath Jo Doosra Dealer Hai Us Ko Chhotay Ne Wo Mount Dikhaya To Us Ne Kaha K Yeh Bhi Lag Sakta Hai.. Lekin Jub Case Ustad K Paas Gaya To Ustaad Ne Kaha.. Aap Ka Engine 1500cc Ka Hai.. Aur Yeh Mount Asal Main 1300cc K Liye Hai.. Yeh Bhi Lag Sakta Hai.. Lekin Isay Lagana Munasib Nahi.. Bcoz 1500cc K Liye Jub Toyota Company Ne Alag Mount Diya Hai To Phir Hamain Kia Zaroorat Hai Yeh Mount Lagaanay Ki..
Timing Belt Side Cover Aur Rear Mount Change Karne K Baad Ab Vibration Rahi Nahi.. Shukar Alhamdulillah..
So Ustaad Ne Kaha K Bhai Aap Ka Gear Side Wala Mount Behter Condition Main Hai.. Aur Front Wala Bhi Chalay Ga Filhaal.. Behter Hai K Aap Filhaal In Mounts Pe Hi Guzaara Karo.. Lekin Aap Kaho Ge To Change Kar Dengay..
Ab Jub Kaam Karanay K Baad Apnay Chhotay Bhai Se Share Kiya To Us Ne Kaha K "Building K 2 Pillar New Hain.. Aur 2 Old.. Yeh Baat Theek Nahi.. Behter Hai K Baaqi 2 Bhi Change Kara Len"
Wese Front Mount Dekhne Main Kuch Weak Lagta Hai.. Aur Gear Side Wala Mount Ab Tak Dekha Nahi.. KahiiN Aisa To Nahi K In 2 Kamzor Mounts Ki Wajah Se 2 New Mounts Pe Load Ziada Aajaye.. Aur Phir New Mounts Jaldi Khap JayeN ??
Please.. Suggest Me.. K Baaqi 2 Mounts Bhi Change KaraoN Ya Phir Kaam Chalaon Aisay Hi ??
NOTE: Yeh Car 2006 Main Pakistan Aayi.. Aur Tub Se Mere Paas Hai.. Ab Tak Near About 90,000 Kms Chal Chuki Hai.. Aur Front + Gear Mount Ab Tak Change Nahi Karaye.