Aik chez aur, jo menay observe kia, wou ye k agr main gari chala ra hu aur bara gear may ho aur menay clutch dbana ho tou agr mein foran clutch dba du jab rpm 1000 say zyada hon tab gari band hojati ha, laikin agr clutch na dbao aur auto pe speed kam honay pe rpm kam hotay jatay hain speed k sath aur jesay hi mein usko dekhta hu k 1000 say nechay gayay tab clutch agr dbao tou phir gari nai band hoti aur rpm uper jatay hain clutch dbanay pr aur gaari band nai hoti... laikin iss maslay ka hal nai milra... kyu k kabhi achanak clutch dbana prta ha tou 1000 say uper rpm wala wqt b ajata ha aur tab normally gaari band hoti hai...