Day 6: Arrang Kel to Taobat. Stay at Corner View Hotel
12 Bajay tak Arrang Kel say niklay, jub dooli k pas ponchay to Barish. Aur thori dair bad Zala bari.
Thori dair wait ki Zalabari ruknay ka, phir Dooli main beth k Kel ponchay.
Kel ponchnay k bad dobara Zalabari shrow ho gai.
Aur thori dair k Barish bhi hoti rahi....
Phir hum nay Chae aur French fries khaye. Aur tayyari ki Taobat nikalnay ki.
Kel main aik hi ATM hia, HBL ka, wahan gaye aur us k bad Taobat ki janib rawan dawan.
Taobat ka rasta buhat hi haseen hai. Abshar, Chashmay, Gaon, Kheet. Aur rasta kafi mushkil bhi hia, magar ap ka driver agar aram say chalanay wala hia to koi khas masla nahi hai.
Magar Willy Jeep kafi hard hoti hai, to us mian jo log jaein gay to masla hoga.
Pajero, Intercooler, Prado yeh sub is route k liye best options hian.
Kel tak to kafi log jaty hain, Taobat ki taraf kum hi log jatay hain. Taobat k rastay main ap ko raw beauty miley gi. Zabardast greenery aur har kuch dair main Abshar. 