salaam bros ,
main nay 1 month huva k apni suzuki eco 110 sale kr di jo k 2007 model thi . main nay honda 70 b use keya hai or honda 100 b lakin woh main nay 2 ya daidh saal se ziada nahin use keyay. suzuki main nay 4 years use keya or bohat acha experiance tha . fuel consumption same like honda 70 . mantainance same like 70 . or speed k lehaz se sb se alaa . main usay 110 tk bohat easily laker jata raha hon . main rawalpindi main rehta hon or 2 or 3 weeks main 1 martaba lazmi muree , mall road , ya ayubya jata hon or yeh bike murree jatay huvay cg 125 k sath sath rehti hai . engine power zabardast hai . mera suzuki ka personal experiance hai or aap k sath share keya . baki junoon ka to nahin pata lakin honda cd 100 acha bike nahi hai . ab main suzuki gs150 lay raha hon . dua kejiay ga k allah mubarak kr de mere liay .