night camping at bank of Lake Attabad was an amazing experience. It was one of my best nights I spent in my AWARAGARDI. Raat ki khamoshi, leharon ka shor aur hawa ki sargoshian amawas ki raat, aur mohabat kay awleen jazbon ki yaad aur Atabad ka kinara iss kay ilawa aur kiya chahiye yar?? yeh woh raat thi jo shayad na meri zindagi main pehlay ayi na shayad phir kabhi aye gi. main khasosi tour par shukar guzar hoon Izhar bhai aur un kay doston ka jo us raat Attabad kay kinaray camping kar rahy thay aur unhon nay apni party main mujhay shamil kiya. Sari raat campsite pay aag jalti rahi, Hunza kay muqami ganay chaltay rahy, aur raat beteti rahi. Campsite walay larkay bhi party boyzz thay aur unhon nay hamein Hunza kay muqami logon aur rasm o rawaj kay mutaliq kafi kuch bataya.
Akelay safar karnay ka yeh faida hota hai kay aap naye logon say miltay hoo. Naye dost bante hain warna main nay group main safar karnay walay logon ko dekha hai jo apnay aap ya group kay khaul say bahir hi nahi nikaltay. Tourism ka maqsad hi naye logon say milna aur un kay rasm o riwaj say agah honahota hai na kay Sirf apni selfies bana kay facebook pay upload karnay ka naam tourism hai. Aik baar phir bohat bohat shukria Izhar, Jamal and Ijaz and many more.. Mera salam tumhari **mohabat chahat aur mehman nawazi ** ko..